सर में शौक़ का सौदा देखा
देहली को हम ने भी जा देखा
जो कुछ देखा अच्छा देखा
क्या बतलाएँ क्या क्या देखा
जमुना-जी के पाट को देखा
अच्छे सुथरे घाट को देखा
सब से ऊँचे लाट को देखा
हज़रत ‘डिऊक-कनॉट’ को देखा
पलटन और रिसाले देखे
गोरे देखे काले देखे
संगीनें और भाले देखे
बैंड बजाने वाले देखे
ख़ेमों का इक जंगल देखा
उस जंगल में मंगल देखा
ब्रह्मा और वरंगल देखा
इज़्ज़त ख़्वाहों का दंगल देखा
सड़कें थीं हर कम्प से जारी
पानी था हर पम्प से जारी
नूर की मौजें लैम्प से जारी
तेज़ी थी हर जम्प से जारी
डाली में नारंगी देखी
महफ़िल में सारंगी देखी
बैरंगी बारंगी देखी
दहर की रंगा-रंगी देखी
अच्छे-अच्छों को भटका देखा
भीड़ में खाते झटका देखा
मुँह को अगरचे लटका देखा
दिल दरबार से अटका देखा
हाथी देखे भारी-भरकम
उन का चलना कम कम थम थम
ज़र्रीं झूलें नूर का आलम
मीलों तक वो चम-चम चम-चम
पुर था पहलू-ए-मस्जिद-ए-जामे
रौशनियाँ थीं हर-सू लामे
कोई नहीं था किसी का सामेअ’
सब के सब थे दीद के तामे
सुर्ख़ी सड़क पर कुटती देखी
साँस भी भीड़ में घुटती देखी
आतिश-बाज़ी छुटती देखी
लुत्फ़ की दौलत लुटती देखी
चौकी इक चाै-लख्खी देखी
ख़ूब ही चक्खी-पख्खी देखी
हर-सू ने’मत रक्खी देखी
शहद और दूध की मक्खी देखी
एक का हिस्सा मन्न-ओ-सल्वा
एक का हिस्सा थोड़ा हल्वा
एक का हिस्सा भीड़ और बलवा
मेरा हिस्सा दूर का जल्वा
अवज बरीश राजा देखा
परतव तख़्त-ओ-ताज का देखा
रंग-ए-ज़माना आज का देखा
रुख़ कर्ज़न महराज का देखा
पहुँचे फाँद के सात समुंदर
तहत में उन के बीसों बंदर
हिकमत-ओ-दानिश उन के अंदर
अपनी जगह हर एक सिकंदर
औज-ए-बख़्त-ए-मुलाक़ी उन का
चर्ख़-ए-हफ़्त-तबाक़ी उन का
महफ़िल उन की साक़ी उन का
आँखें मेरी बाक़ी उन का
हम तो उन के ख़ैर-तलब हैं
हम क्या ऐसे ही सब के सब हैं
उन के राज के उम्दा ढब हैं
सब सामान-ए-ऐश-ओ-तरब हैं
एग्ज़ीबीशन की शान अनोखी
हर शय उम्दा हर शय चोखी
अक़्लीदस की नापी जोखी
मन भर सोने की लागत सोखी
जशन-ए-अज़ीम इस साल हुआ है
शाही फोर्ट में बाल हुआ है
रौशन हर इक हॉल हुआ है
क़िस्सा-ए-माज़ी हाल हुआ है
है मशहूर-ए-कूचा-ओ-बर्ज़न
बॉल में नाचें लेडी-कर्ज़न
ताइर-ए-होश थे सब के लरज़न
रश्क से देख रही थी हर ज़न
हॉल में चमकीं आ के यका-यक
ज़र्रीं थी पोशाक झका-झक
महव था उन का औज-ए-समा तक
चर्ख़ पे ज़ोहरा उन की थी गाहक
गो रक़्क़ासा-ए-औज-ए-फ़लक थी
उस में कहाँ ये नोक-पलक थी
इन्द्र की महफ़िल की झलक थी
बज़्म-ए-इशरत सुब्ह तलक थी
की है ये बंदिश ज़ेहन-ए-रसा ने
कोई माने ख़्वाह न माने
सुनते हैं हम तो ये अफ़्साने
जिस ने देखा हो वो जाने
sar meñ shauq kā saudā dekhā
dehlī ko ham ne bhī jā dekhā
jo kuchh dekhā achchhā dekhā
kyā batlā.eñ kyā kyā dekhā
jamunā-jī ke paaT ko dekhā
achchhe suthre ghaaT ko dekhā
sab se ūñche laaT ko dekhā
hazrat ”duke-connaught’ ko dekhā
palTan aur risāle dekhe
gore dekhe kaale dekhe
sañgīneñ aur bhāle dekhe
band bajāne vaale dekhe
ḳhemoñ kā ik jañgal dekhā
us jañgal meñ mañgal dekhā
barahmā aur varañgal dekhā
izzat ḳhvāhoñ kā dañggal dekhā
saḌkeñ thiiñ har kamp se jaarī
paanī thā har pump se jaarī
nuur kī maujeñ lamp se jaarī
tezī thī har jump se jaarī
Daalī meñ nārañgī dekhī
mahfil meñ sārañgī dekhī
bairañgī bārañgī dekhī
dahr kī rañgā-rañgī dekhī
achchhe-achchhoñ ko bhaTkā dekhā
bhiiḌ meñ khāte jhaTkā dekhā
muñh ko agarche laTkā dekhā
dil darbār se aTkā dekhā
hāthī dekhe bhārī-bharkam
un kā chalnā kam kam tham tham
zarrīñ jhūleñ nuur kā aalam
mīloñ tak vo cham-cham cham-cham
pur thā pahlū-e-masjid-e-jāme
raushaniyāñ thiiñ har-sū laame
koī nahīñ thā kisī kā sāme.a
sab ke sab the diid ke taame
surḳhī saḌak par kuTtī dekhī
saañs bhī bhiiḌ meñ ghuTtī dekhī
ātish-bāzī chhuTtī dekhī
lutf kī daulat luTtī dekhī
chaukī ik chau-lakhkhī dekhī
ḳhuub hī chakkhī-pakhkhī dekhī
har-sū ne.amat rakkhī dekhī
shahd aur duudh kī makkhī dekhī
ek kā hissa mann-o-salvā
ek kā hissa thoḌā halvā
ek kā hissa bhiiḌ aur balvā
merā hissa duur kā jalva
avaj brīsh raajā dekhā
partav taḳht-o-tāj kā dekhā
rañg-e-zamāna aaj kā dekhā
ruḳh corzon mahrāj kā dekhā
pahuñche phāñd ke saat samundar
tahat meñ un ke bīsoñ bandar
hikmat-o-dānish un ke andar
apnī jagah har ek sikandar
auj-e-baḳht-e-mulāqī un kā
charḳh-e-haft-tabāaqī un kā
mahfil un kī saaqī un kā
āñkheñ merī baaqī un kā
ham to un ke ḳhair-talab haiñ
ham kyā aise hī sab ke sab haiñ
un ke raaj ke umda Dhab haiñ
sab sāmān-e-aish-o-tarab haiñ
egzibshan kī shaan anokhī
har shai umda har shai chokhī
aqlīdas kī naapī jokhī
man bhar sone kī lāgat sokhī
jashn-e-azīm is saal huā hai
shāhī fort meñ ball huā hai
raushan har ik hall huā hai
qissa-e-māzī haal huā hai
hai mash.hūr-e-kūcha-e-barzan
ball meñ nācheñ lady-corzon
tā.ir-e-hosh the sab ke larzan
rashk se dekh rahī thī har zan
hall meñ chamkīñ aa ke yakā-yak
zarrīñ thī poshāk jhkā-jhak
mahv thā un kā auj-e-samā tak
charḳh pe zohra un kī thī gāhak
go raqqāsa-e-auj-e-falak thī
us meñ kahāñ ye nok-palak thī
indr kī mahfil kī jhalak thī
bazm-e-ishrat sub.h talak thī
kī hai ye bandish zehn-e-rasā ne
koī maane ḳhvāh na maane
sunte haiñ ham to ye afsāne
jis ne dekhā ho vo jaane
